Tuesday, June 21, 2016

Ek kashmakash aur bhi hai

Ek kashmakash aur bhi hai !!

Ek shiddat si thi,

Ke ab ek aas baaki hai,

Pyaas toh ab bhi hai,
Par kya woh jaam baaki hai?

Woh kehte hai ki bin paani barsaat nai hoti,

Woh kehte hai ki har aawaaz mai woh baat

nai hoti,

Unse kaho ki hum panchi hai aur yeh aasma

hamaara hai,

Har uchaai pe pahuch ne ka hunar hum

jaante hai….

Ek zindagi ko ek sadi banaane ka hunar

hum jaante hai

Ek fasaana woh bhi tha,

Ke ab ek fasaana yeh bhi hai ,

Iss waqt ke kuwe mai se nikal ne ko jee

chahta hai,

Tere liye ek aur zindagi jeene ko jee chahta

hai!

Ek uljhan mai hu ek arse se,

Shaayad woh uljhan tu hi hai,

Ke ab ek kashmaksh aur bhi hai!!

Kashti kinaare lag bhi jaaye,

Yeh Safar shaayad mukammal ho bhi jaaye,

Uski muskuraahat ki mehek , hume yaad

abh bhi hai ,

Ke ab ek kashmaksh aur bhi hai !!

Behte hue paani mai badboo nahi aati,

Sui ki nauk se jab oot nikalta hai,

Tabhi USKE waha pahuch na naseeb hota

hai,

Be dharak angraaiyo se umango ko zinda

karna seekho ,

Bechainiyo se ubharna seekho,

Iss chakravuy ka na koi ant na shuruaat hai,

Ke ab ek kashmakash aur bhi hai !!

Ashko se aankho ki chamak badh jaati hai,

Koi maafi maange,

Toh usse maaf karne se zindagi sawar jaati

hai!!

Ek andheri raat hai,

Tujhe dekh kar lagta hai ke shaayad sawera

nazdeek hai,

Tujhe dekh kar lagta hai ke shaayad ab kuch

aur mujhme kahi zinda hai,

Kaash tu mere saath chalti,

Kaash teri hasi ke baraf ko pighlaane ki

garmi mai hota,

Tujhse juda hokar bhi kaash tere paas mai

hota,

Ab yeh zindagi mai toh yeh shayad mumkin

ho na sake,

Lekin tera intezaar ab bhi hai,

Ke ab ek kashmaksh aur bhi hai!!

Written by Huzaifa Bhopalwala

No comments:

Post a Comment